[Gazal] Dukh me ro lene ka maza bhi alag hota hai

Dukh me ro lene ka maza bhi alag hota hai,
Hari hui zindagi jine ka maza bhi alag hota hai.

Sahil pe kashtiyan chalane walo tum kya jano,
Tufan me kashtiya chalane ka maza alag hota hai.

Dono hatho se zindagi ka bojh uthane walo ye bhi jaan lo ki,
Aakhri saans me khali haathon ka maza bhi alag hota hai.

Ek hi raah par chalne wale manzil zarur paa lete hai,
Par raah me bhatakne ka maza bhi alag hoti hai.

Duniya jitnewale kai sikandar aaye aur chale gaye,
Par kisi ka dil jitkar chale jane ka maza bhi alag hoti hai.

Advertisement

Haqeeqat Kuch Nahi Hoti

Hamesha sath mein rehne ki adat kuch nahi hoti
Jo lamhe mil gae jee lo, riyazat kuch nahi hoti

Jisay mehroomian milti hon wo he jaan sakta hy
Zubani hosla, jhooti murawwat kuch nahi hoti

Kai rishton ko jab parkha, nateeja aik he nikla
Zaroorat he sabhi kuch hy, mohabbat kuch nahi hoti

Kisi ne chor k jana ho to phir chor jata hy
Bicharna ho to sadyon ki rafaqat kuch nahi hoti

Taa’aluq toot jae to safeenay doob jate hein
Ye sab kehne ki baten hein, haqeeqat kuch nahi hoti

Source: http://bazmeghazal.wordpress.com/2011/11/30/haqeeqat-kuch-nahi-hoti/